Tuesday, 21 May 2013

..............baarish ka jamana yaad aa gaya!!

Vo Kaagaj ki naav ko yuhi tairana, Vo nirvastra bacho ka bhigate huve khilkhilaana,
Vo maa ka daant te huve apne aanchal se sar pochna, Vo baarish ka strot kaha hai sochna,
Aaj fir vo fasana yaad aa gaya, Lo aaj fir vo baarish ka jamana yaad aa gaya!!

Vo baarish se bhigi mitti ki khusbu, vo har pal har ghadi mausam suhana, 
Vo chai ki chuski ke sath gungunana,  Vo raashto pe kichad ka tanabana,
Aaj fir vo fasana yaad aa gaya, Lo aaj fir vo baarish ka jamana yaad aa gaya!!

Vo ghanto khidki se bematlab jhakna, Vo logo ka raashto me bhagna, 
Vo apne se lambe raincoat me dhake bacche, Vo paani ke gaddho se chite udaana,
Aaj fir vo fasana yaad aa gaya, Lo aaj fir vo baarish ka jamana yaad aa gaya!!

Vo paani me bhigi pyaari si ladki, uljhi lato ko uska maathe se hatana, 
vo bhigi si saanse, vo bhige si dhadkan, vo bhige se tum aur vo bhige se hum,
Aaj fir vo fasana yaad aa gaya, Lo aaj fir vo baarish ka jamana yaad aa gaya!!

Vo bachpann, ladakpann, vo mausam suhana, jeevan ki aapadhapi me bhul raha hai Jamana, 
Maa ka aanchal hai par waqt kaha hai, Bacche to hai par khilkihalte kaha hai,
Khidkiya, darwaje sab band hi rehte hai, gaddho se kichad se log bachke nikalte hai,
Vo ladki bhi ab kahi dikti nahi hai, yaadein bhi uski dhundhli hui hai,
Yaadon ne ghera bahut dino baad kuch aisa, ki mausam hi kuch lagg raha shaayerana
Aaj fir vo fasana yaad aa gaya, Lo aaj fir vo baarish ka jamana yaad aa gaya!!

-Vabs

2 comments:

  1. Nice lines bhaia.. aapki hindi to kamaal ki hai..keep it up

    ReplyDelete
  2. Wash Vabs, so well expressed!

    ReplyDelete