Tera hoke bhi tera hona mushkil sa kyu hai?
Ye dil machalta to hai par ispe uljhano ka surur kyu hai...
Hai to tu haqeeqat par lagta khwaab kyu hai?
Gar hai koi khuda duniya me to mujhse vo rusva kyu hai....
Ek raah pe chale the humsafar bankar, Fir manjilein hamari juda kyu hai?
Kaash bata sakta mere liye tu kya hai, par batana ye tujhko itna muskil kyu hai..
Khushi me tere khush mai hu, fir lagta gamjada tu kyu hai?
Gar hai koi khuda duniya me to mujhse vo rusva kyu hai....
Hu to mai ek dariya aag ka, samajhta mujhe tu barkha kyu hai?
Karta hu sadge tere aksar, mujhse fir bhi iss kadar tu khafa kyu hai..
Naa bhulane ka vada karke, mujhse aaj anjaan tu kyu hai?
Gar hai koi khuda duniya me to mujhse vo rusva kyu hai....
Chahta hu tujhe yaad na karu mai, fir mere har khwaab me tu kyu hai?
kabhi baadal, kabhi fulo, kabhi gulistaan me, mujhe dikhta tu kyu hai...
Ek arsa jo bitaya humne saath-saath, lagta vo ek lamha kyu hai?
Gar hai koi khuda duniya me to mujhse vo rusva kyu hai....
-Vabs